UP free Laptop Yojana 2023 – Get Free Laptop and Smartphone

UP Free Laptop Yojana: Agar aap UP board ke Chatra hain to yakin, aapko UP Free Laptop Yojana 2023 ke bare mein pata chal gaya hoga.

Aur agar aap is Yojana ke bare mein jyada jankari lena chahte hain jaise registration process, application form, documents required, important dates, to is article mein bane rahiye.

Aaj ke is article mein hum aap sabhi ko UP free laptop Yojana ke bare mein main sabhi  mahatvpurn jankari dene wale hain.

Aako sirf is article ko dhyan se padhna hai and isme btaye gaye steps ko follow karke aap free laptop and smartphone prapt kar sakte hai.

UP Free Laptop Yojana 2023

Dosto, humne aamtor par dekha hai ki chunav ke samay par diggaj neta bde bde vade karte hai and ruling parties  attractive schemes and plans launch karti hai.

Uttar Pradesh ke vidhan sabha chunav agle saal yani 2023 me February me kray jayenge.

Is chunavi mahol me Chief minister Yogi Adityanath ne board students ke liye ek nayi Yojana ki announcement ki hai.

Yojana ke tahat krib 20 lakh students ko free laptops and smartphones diye jayenge.

Yojana ka name UP Free Laptop Yojana 2023 rakha gaya hai and iska budget krib 1800 crore decide kiya gaya hai.

Is yojana ke tahat sabhi eligible students ko facilitate karne ka target rakha gaya hai.

Bhut jald iske registration shuru ho jayenge and uske baad ye laptops and smartphones students me bate jayenge.

Sabse bdi baat ye hai ki is yojana ko December me hi complete karne ka target rakha gaya hai. Iska matlab is baar students ko jyada wait nahi karna hoga and vo is yojana ka fayda utha payenge.

Apply karne se pehle aapko janna hoga ki is yojana ke tahat laptop ya smartphone prapt karne ke liye kuch minimum eligibility criteria bhi rakha gaya hai.

Niche diye hue points se phle ye samaj le ki aap is UP Free Laptop Yojana ke liye eligible hai ya nahi.

  • Aap UP Board ke student hone chahiye kyunki yeh Yojana keval UP Board ke students ke liye hi hai.
  • Aap board classes jaise 10th ya 12th ke student ho.
  • Ye Yojana sabhi students ke liye hai and isme caste ya reservation jaisa koi pravdhan nahi hai.
  • Board exam me aapka score minimum 65% hona chahiye

Agar aap is Yojana ke liye eligible hai to aap proceed kar sakte hai and registration krke apply bhi kar sakte hai.

Apply karte samay aapko kuch documents ki jaroorat hogi.

Aaiye ab hum jante hai ki UP free laptop Yojana registration ke liye aapke paas konse documents hone chahiye.

Documents required for UP Free Laptop Yojana 2023

Jaisa ki humne btaya ki konse students, is yojana ke liye eligible hai, eligible hone ke sath aapke paas ye jaroori documents hone chahiye.

Kuki in documents ki copy aako UP free laptop Yojana registration karte samay upload karni pad sakti hai.

  • Marksheet (Class 10th or Class 12th)
  • Aadhar card (Identity proof)
  • Address Proof
  • Passport size photo

Doston agar yah documents aap sabhi ke pass hain to aap UP free laptop Yojana registration kar sakte hain.

Agar kisi Student ke pass yah documents nahin hai to use jald se jald in documents ko arrange karna hoga.

Note – Dhyan dene yogya baat ye hai ki agar abhi tak aapko apni class 10th or 12th ki board marksheet nahi mili hai to aap apne result ki madad le sakte hain.

UP free Laptop yojna 2023 ke liye apply kaise kare

Student serap is Yojana ke liye eligible hai and aapke pass yah minimum documents hi to aap aap niche diye hue simple steps ko follow kar kar up free laptop Yojana ke liye apply kar sakte hain.

  1. Sabse pehle aap sabhi ko UP government ki official website – http://upcmo.up.nic.in/ par jana hai.
  2. Agle step me aap sabhi ko website par UP free laptop Yojana application form ko khojna hai. Form mil jane ke bad aapko uske link ko open karna hai.
  3. Form khul jane ke baad aapko apni class select karni hai and apne essential details jaise name, father’s name, marks obtained, address, etc enter kar dene hai. 
  4. Last step me aapko application form ko submit kar dena hoga. Sabse achi baat ye hai ki form ko submit karne ke liye aapko koi bhi application fees nahi deni hogi.

To in assan se steps ko follow karke aap easily is yojana ke liye registration kar sakte hai.

Apply karne ke baad government aapki upload kiye hue details ko verify karegi and last me UP free laptop Yojana beneficiary list jari karegi.

Is list ke latest updates ke liye aap hamare Facebook page se jud sakte hai.

Us list me jin students ka naam aayega, unhe is yojana ke tahat free laptop and smartphone distribute kiye jayenge. Ye pura process December to January tak complete kr diya jayga.

UP Free Laptop Yojana Application form

Dosto abhi tak UP Free Laptop Yojana application form upload mahi kiya gaya hai, but December ke 2nd week me ye form upload hone ki sambhavna hai. 

Jaise hi ye application form upload kar diya jayga, hum aapko telegram channel ke through update kar denge.

Is form se related sabhi updates aapko hamari website par mil jayenge. Isliye aap se anurodh hai ki hmari website hindimestudy.in se jude rahe.

Conclusion

Dosto ye yojana khaskar 12th class ke students ke liye bnai gayi hai kuki unki higher level education me laptop and smartphone ki kafi jarurat hoti hai.

Sath hi sath aaj kal almost sabhi classes online classes ke madhyam se hi krai ja rahi hai. 

To agar aap bhi is yojana ke liye eligible hai to registration jaroor kare.

Iske baad apko sirf UP free laptop Yojana Beneficiary list ka wait karna hai.

Isi tarah ki latest jankari ke liye aap hamare telegram channel se bhi jud sakte hai.

Agar aapko is topic se related koi bhi query hai to aap freely use hamare comment section me mention kar sakte hai.

Leave a Comment