NCERT Books for Class 12th Free PDF, Audiobooks Download 2023

Aaj ka ye article un sabhi students ke liye hai jo NCERT Books for Class 12, PDF format me download karna chahte hai. 

Class 12th ke kisi bhi student ke liye ye article bhut hi helpful ho sakta hai.

Chahe aap kisi bhi stream ke student ho, aap se request hai ki is article ko ek baar dhyan se thoroughly read kijiyega.

Kuki is article ke dwara hum un sabhi Class 12th ke students ki help karna chahte hai, jinke pass NCERT Books nahi hai.

Yaha hum na sirf in Textbooks ki importance batane vale hai, balki aap ko NCERT 12th Class Textbook 2023 PDF format me download karne ka pura procedure bhi samjhane wale hai.

To students, aaiye sabse pehle NCERT Books for Class 12 ki importance and unse related kuch baato ke bare me jaan lete hai.

NCERT Books for Class 12

NCERT Books for Class 12th

Students, aap sabhi ko pata hi hoga ki NCERT Books for Class 12, Government ki taraf se schools me distribute nahi ki jati hai.

Government of India ki taraf se sirf Class 1st se Class 8th ke students ko hi books school me distribute ki jati hai.

Har saal students ko Class 12 ki textbooks ko market se purchase karna padta hai, and iske liye unhe Government ki taraf se kuch amount di jati hai. 

Is saal bhi COVID ke karan almost online classes hi hui hai, jiske chalte bahut sare students ne shayad NCERT Books for Class 12 ko purchase nahi kiya hoga. 

Dosto, hum sabhi ko ye pata hai ki Class 12 me textbooks kitni important bhumika nibhati hai.

Aap ke syllabus ko cover karne me and concepts/questions ki practice ke liye NCERT Books for Class 12 bahut jaruri hoti hai.

Kayi baar jab humare paas notes banane ka sufficient time nahi hota, to hum books me hi important points, formulas, theorems, derivations ko highlight kar lete hai.

Iske baad exam time me pure chapter ke revision ke liye un highlighted points ko hi padh lete hai.

Ab exams bht hi karib aa gaye hai to students apni padhai and exam preparation ko lekar chintit ho rahe hai.

Guys, aap ko is bare me or sochne ki jarurat nahi hai kuki article ke agle section me humne NCERT 12th Class Textbook 2023 PDF download karne ke bare me detail me bataya hai.

Also read – NCERT Book 2023 for Class 5

NCERT 12th Class Textbook 2023 PDF

Dosto, vaise to Free NCERT Books 2023 for Class 12 download karne ke bhut sare effective and working methods available hai. 

Un sabhi methods ke bare me humne is article ke bare me bataya hai.

To sabse pehle dekhte hai ki NCERT ki official website se aap kaise in textbooks ko download kar sakte hai.

Download NCERT Books for Class XII from official website

Jo students NCERT 12th Class Textbook 2023 PDF format me ya eBook format me download karna chahte hai unhe niche diye gaye steps ko one by one follow karna hai.

  • Sabse pehle aap ko apne browser ke through NCERT ki official website par jana hai jiska URL hai – http://www.ncert.nic.in
  • Next step me aap ko niche diye gaye textbooks ke section me jana hai. 
  • Textbooks ke option par click karne ke baad aap ko kuch naye options jaise ki Syllabus, eBooks, etc milenge. Aap ko eBooks ke option par click kar dena hai. 
  • eBooks par click karne ke baad aapko Classes ke option  “PDF (I-XII)” par click kar dena hai.
  • Iske baad aap ko apni class, subject and book title select kar lene hai. Jaise hi aap in details ko enter karenge, aap ke samne download links display ho jayenge.
  • Download links par click karke aap easily NCERT Books for Class XII download kar sakte hai.

To is procedure ko follow karke aap kisi bhi stream, subject ki book ko PDF format me official NCERT website se download kar sakte hai. 

Note – Jin students ko NCERT Books for Class 12 Download karne me koi bhi pareshani ho, vo students humse humare Telegram channel, Facebook ya Twitter handle ke jariye puch sakte hai. Hum jaldi hai aapko feedback dene ki kosish karenge.

Aaiye ab hum jante hai ki NCERT ke official application ko use karke kaise NCERT Books for Class 12 download ki ja sakti hai.

Download NCERT 12th Books by NCERT App

NCERT Books and isse related study material ko free me download karne ka ye best method hai.

Is method ke through NCERT Books ko download karne ke liye aap niche bataye gaye steps ko follow kar sakte hai.

  • First step me aap ko Google Play Store se NCERT ke official application ko download and install kar lena hai.
  • Install hone ke baad application ko sbhi important permissions grant kar deni hai. Iske baad aap ko apni language select kar leni hai.
  • Iske baad aap ko kuch options milenge jisme aap apna user type jse Student, Parents, Teachers select kar lena hai.
  • User type select karne ke baad aap ko kuch simple details jaise ki name, school name, class and language select karni hai.
  • Is tarah se aap ka registration ho jayega and registration karne ke baad aap vha par di gayi eBooks ko download kar sakte hai.

Dosto, aap ki aasani ke liye humne NCERT official application ka link niche diya hai. Is link par click karne ke baad aap easily ise install kar sakte hai.

Download Official NCERT application

Download NCERT Audio Books for Class 12

Humne kayi baar specially abled students ko padhai karte pareshani me dekha hai. Aise students jo dekh nahi sakte, vo normal books se padhai nahi kar saakte. 

Aise students ki suvidha ke liye Central Institute of Educational Technology (CIET) ne sabhi NCERT books ko audiobooks me convert kar rakha hai.

NCERT Audio Books for Class 12 ko aap niche diye gaye links ki madad se download kar sakte hai. 

Iske baad specially abled students Google voice command ka use karke in books ko audio player ki madad se sun sakte hai and exam preparation bhi kar sakte hai.

Frequently asked questions

Dosto, yaha par humne NCERT Books for Class 12 ke bare me aksar puche jane vala kuch sawal and unke jawab mention kiye hai.

NCERT Books for Class 12 download karne ke liye official website konsi hai?

Students aise do websites hai jaha se aap apni books ko free me download kar sakte hai. Phli hai – http://www.ncert.nic.in and dusri hai – http://epathshala.nic.in.

In websites par jake na sirf eBooks, balki syllabus, question papers, question banks jaise bhut sare study material ko download kiya ja sakta hai.

NCERT official website se books kis format me download kar sakte hai?

Dosto, yaha se aap kisi bhi book ko PDF format ya ebook format me free me download kar sakte hai. Iske baad aap chahe to in PDF ko print out bhi kara sakte hai.

NCERT Video books kha available hai?

Students agar aap videos ya lectures ke madhyam se study karna chahte hai to NCERT ke official YouTube channel se lectures lekar bhi padhai kar sakte hai.

Summing up

Dosto, hum aasha karte hai ki is article ko read karne ke baad NCERT Books for Class 12 ki importance, use karne ka tarika, download karne ka tarika pata chal gaya hoga.

Abhi exam time aane me bhut km time bacha hai, to aap aaj se hi apni exam preparation start kar dijiye.

Agar aap ka koi subject weak hai, to aap online learning platforms ya apne teachers ki sahayta le sakte hai.

Students agar aap chahte hai ki aap ko sabhi latest articles, notifications, information, etc milte rahe, to aap hamare blog Hindimestudy.in ko subscribe kar lijiye. Iske alava, further use ke liye aap is page ko bookmark bhi kar sakte hai.

Agar aap ko is article se help mili hai to aap is article ko apne classmates and friends ke sath share karke unki help kar sakte hai.

Leave a Comment