NCERT Books for Class 11: Free PDF, Audio, Video Download 2023

Friends aaj ka article un students ke liye hai jo NCERT Books for Class 11 PDF ki talash kar rahe hai. Aaj ke humare is article ko padhne se aapki talash khatam ho sakti hai. 

Aap sabhi ke board exam CBSE ki taraf se February se March me conduct kraye jate hai. Iss saal bhi isi process ko follow kiya jayega but COVID ke karan kuch changes bhi ho sakte hai. 

Aap sab hi me se kafi students ne online classes ke karan books purchase nhi ki hongi.

Aur kafi students bina NCERT books ke exams ki preparation karne me difficulties face kar rahe honge.

Isliye aaj hum apne article ke dwara aap ki unhi difficulties ka solution lekar aaye hai. 

Hum apne article ke jariye NCERT books for Class 11 Free PDF, Audio, Video download karne ke baare me vishesh jankari leke aaye hai.

NCERT books for class 11 se related sabhi information prapt karne ke liye, humare is article ko end tak attentively jarur read kare. 

NCERT Books for Class 11

NCERT Books for Class 11

Aspirants, National Council of Educational Research and Training ne 11th Class ke chatron ke liye books ki latest PDF ko upload kar diya hai. 

Commerce, Arts, Science sabhi stream ke Hindi, English, Urdu medium ke vidyarthi latest NCERT books for Class 11 prapt kar sakte hai. 

Intermediate classes ke students ko NCERT Books for Class 11 shop se purchase karni hoti hai.

Iske liye government ki taraf se students ko kuch amount di jati hai.

Lekin agar aap hardcopies purchase nahi karna chahte hai, to aap digital books se bhi study kar sakte hai.

NCERT Books for Class 11 PDF se study karne ke liye aapko unhe access karna aana chahiye. 

Humne apne article me NCERT Books for Class 11 free PDF ko download karne ke sources and procedure ke baare me bhi bataya hai.

Vaise to NCERT Books for Class 11 free PDF access karne ke kafi sare tarike hai, lekin humne easy and mostly istemal kiye jane vale method ke bare me aap ko apne article ke dwara bataya hai. 

NCERT 11th Class Textbook 2023 PDF

Guys Arts, Commerce, Science stream ke students ko NCERT 11th Class digital books download karne ke liye niche likhe hue aasan se steps ko follow karne chahiye.

  1. Firstly aap ko NCERT e-resources official web portal pe visit karna hai. Jink links hai http://www.ncert.nic.in http://epathshala.nic.in
  1. Official web page open hone ke baad, aapko main menu me se ‘publications’ ke option ko choose karna hai. 
  1. Next step me aap ko book ka format choose karna hai jaise PDF book, textbook etc. 
  1. Book ka format choose karne ke baad aapko grade and apne course ke details select karni hai. 
  1. Then aapko book ka title choose kar lena hai and ‘GO’ ke option pe click karke aage proceed karna hai. 
  1. Last me aapko chapter wise book download kar leni hai. 

To dosto ye the kuch easy steps jinse aap NCERT 11th Class Textbook 2023 PDF aasani se access kar sakte hai. 

Note – Agar aapko NCERT Book PDF 2023 download karne me koi bhi pareshani ya difficulty aa rahi hai, to aap humse humare Telegram channel, Facebook page, Twitter handle ke madhyam se puch sakte hai. Hum aapki madad karne ki puri koshish karenge

Upar diye hue steps ko follow karte hue aap kisi bhi subject and stream ke liye eBook and PDF file download kar sakte hai. 

How to Download NCERT 11th Class Books 2023 from the official App? 

Dosto aap sabhi ki suvidha ke liye NCERT ki taraf se NCERT official application develop kiya gaya hai.

NCERT application ko iOS and Android dono hi phone me aap use kar sakte hai. 

Is application ke jariye bhi aap NCERT Books for Class 11 PDF, eBook ekatrit kar sakte hai. 

Iske liye aapko kuch points ko follow karna hai. 

  1. Sabse pahle aap ko apne smartphone me App Store ya phir Google Play Store open karna hai. 
  1. Then aapko search ke button par click karke NCERT application search kar lena hai and install kar lena hai.
  1. Application install kar lene ke bad permissions grant karni hai and aap ko location and grade select kar lena hai. 
  1. Itna kar lene ke bad aap ko language and course details fill karni hai. 
  1. Last me aap ko apni screen pe di hui class 11th ki books ke PDF download kar lene hai. 
  1. Jisse ki aap kahi bhi aur kahi bhi bina kisi pareshani ke class 11th books read kar payenge. 

Humne aap sabhi ke samay ki importance ko samajhte hai, isiliye humne NCERT ke official app ka direct link provide kiya hai.

Download Official NCERT application

Aap is link par click karke app ko install kar sakte hai. 

How to download NCERT Books for Class XI By ePathshala QR code App? 

Friends ePathshala app ke dwara Class XI ki books and eBooks download karna humare dwara bataye gaye sabhi tariko me sabse aasan hai. 

Ise use karne ke liye aap ko ePathshala QR code app play store se install karna hoga.

Then aapko NCERT ki book me index page par diye hue QR Code ko scan karna hai. 

Properly scan hone ke baad aapko apni phone ki screen ke upar ek link display hoga, aapko usi link ke sath hi proceed karna hai. 

Finally aap apni books ke PDF ko easily access kar payenge. 

Aapko is baat ko mind me rakhna hai Ki QR codes aapko sirf aur sirf 11th class ki latest books per hi available honge. 

Download NCERT Audio Books for Class 11

Aspirants, hrr ek class me ek ya do aise students hote hai jo specially abled hote hai. 

Aise he specially abled students ke liye Central Institute of educational Technology ne NCERT Books ko audio format me convert kiya hai. 

Taki special child bhi NCERT Audio books ke dwara apni study bina kisi rukawat ke continue kar sake and apne future dreams ko complete kar sake. 

Aisa nahi hai ki audio books ka use keval special child hi kare, koi bhi students audiobooks se study kar sakta hai kuki inka main motive ye hai ki aap ghar pe he rahke study kar paye. 

NCERT audio books 2023 download karne ke liye aap niche diye hue links par click kar sakte hai and bina kisi pareshani ke audiobooks download kar sakte hai.

NCERT 11th Class Video Books 2023

Students, NCERT 11th class Video books se aap apni book me diye hue content ko ache se samajh sakte hai and apni revision bhi kar sakte hai. 

NCERT ne primary to senior classes ke students ke liye video books and lectures prepare kiye hai. 

Aap bhi NCERT ke YouTube channel se study karke apne topics ko deeply clear kar sakte hai. 

Visualise tarike se study karke aap content ko ache se samaj sakte hai, isse aap topics ko kafi time tak yaad rakh payenge. NCERT Books 2023 for 11th Class all Subjects PDF 

Friends aap sabhi NCERT Books 2023 for 11th Class all subjects PDF ko humare bataye gaye methods se easily access kar sakte hai. 

List of subjects for 11th Class 2023 

  • Hindi
  • English
  • Mathematics
  • Economics
  • Political science
  • Home science 
  • Accountancy 
  • Geography
  • History
  • Business studies
  • Chemistry
  • Biology
  • Sanskrit
  • Sociology

Guys aap in sabhi subjects ke PDF and eBooks Hindi and English medium me access kar sakte hai. 

Last thoughts 

Dosto humne aap ko apne article ke jariye NCERT 11th class books 2023 PDF download karne ke teen methods ke bare me bataya hai. 

Hum aasha karte hai ki NCERT Books for Class 11 se related aap ki sabhi questions solve ho gaye honge. Ab aap in books ko download karke apni exam preparation ko shuru kar sakte hai.

Isi tarah ki essential information, updates, Board exams se related jankari prapt karte rahne ke liye humari website Hindimestudy.in par regularly visit karte rahiye aur humare blog ko subscribe bhi kijiye. 

Agar aap ko is article me di hui jankari se help mili ho, to aap ise apne friends ke sath jarur share kijiyega. 

Leave a Comment