NCERT Book 2023 for Class 5: Free PDF, Audio, Video Download

NCERT Book 2023 for Class 5: Har sal February se March end tak almost sabhi boards ke final exams conduct karaye jate hai. 

Students is baar bhi final exams scheduled kar diye gaye hai and most probably February 3rd week se lekar March le last week tak conduct karaye jayenge.

Is saal bhi students ki online classes hui h is vajah se most of the students ko government ki taraf se books provide nahi karayi gayi hai.

Iske sath hi kuch students aise bhi honge jinhone online classes ki vajah se books purchase bhi nahi ki hongi.

Is problem ko dhyan me rakhte hue aaj ham aap sabhi ke liye is article ke madhyam se NCERT Book 2023 for Class 5 lekar aaye hai. 

Class 5 ke students jo National Council of Educational Research and Training (NCERT) ki books download karna chahte hai, unhe is article ko end tak ache se padhna hai.

Yaha hum aap ko NCERT Class 5 Textbook 2023 Free PDF Download karne ki puri process samjhayenge. 

Iske alava, aap ko NCERT 5th Class Audio Books 2023 and NCERT 5th Class Video Books 2023 ke bare me bhi jankari provide karenge. 

NCERT Book 2023 for Class 5

NCERT Book 2022 for Class 5

Government school ke students ko government ki taraf se har sal study material jaise ki books, uniform, stationary, etc provide ki jati hai.

Jaisa ki hum ne bataya hai ki is saal jyadatar padhai online classes ke madhyam se hui hai, to schools me books distribution nahi hua hai. 

Agar aap private school me padhte hai and aapne books purchase nahi ki hai, to aap bhi free me NCERT Book 2023 for Class 5 download kar sakte hai and apni exams ki tyaari me use kar sakte hai.

Dosto NCERT 5th Class Textbook 2023 PDF ko download karne se pehle aap ko books ki importance and use ke bare me pata hona chahiye.

Students, textbooks kisi bhi class ke course me important role play karti hai.

Exam preparation me sabse pehle aap ko apne syllabus me diye hue chapters and topics ko padhna hota hai.

Iske alava padhte time aap ko short notes bhi prepare karne hote hai jinhe aap baad me revision ke liye use kar sakte ho.

In short notes me aap ko definitions, laws, theorems, formulas, important points likhne hote hai.

Ye sabhi jruri points, formulas aap ko textbook me se mil jate hai. Iske alava NCERT Book 2023 for Class 5 se aap ko practice questions bhi mil jate hai, jinse aap apni practice bhi kar sakte hai.

Students hum umeed karte hai ki aap ko NCERT Book 2023 for Class 5 ki importance pata chal gayi hogi.

Aaiye ab hum jante hai ki aap NCERT Book 2023 for Class 5 ko kaise download kar sakte hai.

NCERT 5th Class Textbook 2023 PDF

Vaise to NCERT Book 2023 for Class 5 har saal Ministry of Education ke dwara har saal students ko distribute ki jati hai.

To aap apne school se bhi NCERT Book 2023 for Class 5 ko prapt kar sakte hai.

Lekin agar aap chahte hai ki books ki hard copies purchase na karke, digital books se padha kare, to yaha humne bataya hai ki NCERT Class 5 Textbook 2023 Free PDF Download kaise kare.

NCERT Class 5 Textbook 2023 Free PDF Download karne ki kafi sare methods hai.

In methods me se jo aap ko sahi lage, uske through aap NCERT Book 2023 for Class 5 ko download kar sakte hai.

NCERT 5th Class Textbooks 2023 Download at ePathshala

Dosto is method se NCERT 5th Class Books 2023 PDF ko download karne ke liye aap ko niche mention kiye gaye steps ko carefully follow karna hai.

  1. Sabse pehle aap ko ePathshala ki official website par jana hai jiska URL hai – http://epathshala.nic.in/
  2. Yaha par visit karne ke baad aap sabhi ko main menu me jakr publications ke option ko select kar lena hai. 
  3. Publications ke section me aap ko E-Book, Textbooks, PDF Books, State/UTS ePub Textbooks ke links mil jayenge 
  4. Iske baad aap ko apni requirement ke according option par click kar lena hai and apni class select kar leni hai.
  5. Last me aap given download links par click karke NCERT 5th Class Books 2023 for Free download kar sakte hai.

PDF download karne ke baad ya to aap unhe apne phone me rakh kar study kar sakte hai ya phir unko print bhi kara sakte hai.

Note – Agar aapko NCERT Class 5 Textbook 2023 Free PDF Download karne me koi bhi pareshani ho to aap humse humare Telegram channel, Facebook ya Twitter handle ke jariye puch sakte hai. Hum jaldi hai aapko feedback dene ki kosish karenge. 

NCERT 5th Class Book 2023 Download by Mobile Phone App

Students agar aap official website se NCERT 5th Class Books 2023 PDF ko download nahi karna chahte to aap application ki help se bhi NCERT Books 2023 for Class 5 download kar sakte hai. 

Iska process bhi bhut hi simple hai and aap niche diye hue steps ko follow kar ke easily NCERT Book 2023 for Class 5 download kar sakte hai.

  1. First step me aap ko apne smartphone ke application store ko open kar lena hai.
  2. Iske baad aap ko search bar me click karke aap ko ePathshala search karna hai. 
  3. Aisa karne se aap ke samne kafi sare applications aa jayenge. Isme aap ko ePathshala by NCERT par click kar dena hai.
  4. Next step me is application ko install kar lena hai and then open kar lena hai.
  5. Application open karne ke baad apko important permissions grant kar deni hai. Iske baad aap ko apni language select karni hai.
  6. Language select karne ke baad aap ko kuch options milenge jisme aap apna user type jse Student, Parents, Teachers select kar lena hai.
  7. Ab aap ke samne ek form display hoga jisme aap ko kuch simple details jaise ki name, school name, class and language select karni hai.
  8. Iske bad aap easily kisi bhi class ki eBooks download kar sakte hai. Na sirf eBooks balki aap audio and video lectures bhi dekh sakte hai.

Aap ki suvidha ke liye humne ePathshala app ka direct link provide kiya hua hai. Is link par click karke aap is application ko download kar sakte hai.

Download ePathshala app

NCERT 5th Class Textbook QR Code 2023 

Dosto NCERT Books 2023 for Class 5 ki PDF ko download karne ka ye ek aur assan sa tarika hai.

Isme aap ko sabse pehle play store se ePathshala Scanner application ko download and install kar lena hai.

Is application ki madad se aap kisi bhi textbook ke front me diye gaye QR code ko scan kar ke us book ki PDF directly apne smartphone me download kar sakte hai.

Agar book ke front me aap ko QR code nahi milta hai to index page par bhi diya hota hai. Is tarike se aap koi bhi book easily download kar sakte hai.

Download ePathshala Scanner app

NCERT 5th Class Audio Books 2023

Kuch students physically challenged hote hai and aise students textbooks ko dekh ya read nahi kar sakte.

Aise differently abled students ke liye Central Institute of Educational Technology ne sabhi books ko audio format me convert kiya hua hai.

NCERT Audio Book 2023 for Class 5 ka use karke aise students apni padhai continue kar sakte hai.

NCERT 5th Class Audio Books 2023 ko download karne ke liye aap niche diye hue links par click karke audiobooks ko download kar sakte hai.

Download karne ke baad students apne audio player me in books ko sun sakte hai and apni exam preparation kar sakte hai.

NCERT 5th Class Video Books 2023

NCERT 5th Class Video Books 2023 ki help se students apni  textbook me diye hue chapters and topics ko easily samajh sakte hai.

Video lectures ko aap kabhi bhi dekh sakte hai and quick revision bhi kar sakte hai.

NCERT ne primary class ke students ke liye in lectures/videobooks ko design kiya hai.

Ye video books abhi NCERT ke official YouTube channel par hi uplabdh hai. 

Aap jis bhi subject ke lectures attend karna chahte hai, uska name NCERT ke YouTube channel par search kar sakte hai. 

NCERT official YouTube channel ka link bhi humne aap ki suvidha ke liye yaha provide kiya hua hai. 

NCERT Official YouTube channel

NCERT Book 2023 for Class 5 Direct Download

Students, NCERT Book 2023 for Class 5 ko download karne ke diye gaye methods bht hi asaan hai.

Lekin agar aap books ko direct download karna chahte hai to niche di gayi table ka use kar sakte hai.

SubjectDownload
English Click Here
MathClick Here
HindiClick Here
EVSClick Here
UrduClick Here

Class 5 ke almost sabhi subjects ki textbooks available hai. Simply, links par click kare and textbook download karen.

Summing up

Dosto yaha par aap sabhi ne NCERT Book 2023 for Class 5 ki importance ke bare me jana.

Sath hi sath humne aap ko NCERT 5th Class Textbook 2023 PDF download karne ke different working methods ke bare me bataya hai.

Hum umeed karte hai ki aap ko NCERT Grade-V Audiobooks 2023 and NCERT 5th Class Video Books 2023 ke bare me bhi pata chal gaya hoga.

Students agar aap chahte hai ki aap ko sabhi latest articles, notifications, information, etc milte rahe, to aap hamare blog Hindimestudy.in ko subscribe kar lijiye.

Apni exam preparation ke liye Model papers, Previous year question papers, Sample papers, Textbooks, Questions banks, Practice sets, quick revision notes, etc aap hamari website se download kar sakte hai.

Agar aap ko ye article informative laga hai to aap ise apne classmates and friends ke sath share kar sakte hai.

Leave a Comment