JAC 12th Admit Card: Jharkhand Academic Council ke sabhi students ko apne JAC 12th Admit Card ka bhut besabri se intezar tha.
Aaj aap sabhi ko batate hue bhut hi khushi ho rahi hai ki Board ne aap sabhi ke JAC 12th Admit Card 2022 jari kar diye hai.
Aaj ke is naye article me hum na sirf aap ko JAC 12th Admit Card 2022 ke bare me sabhi important jankari provide karenge balki aapki sahayta ke liye batayenge ki aap kaise apne JAC Intermediate Admit Card 2022 ko download kar sakte hai.
Iske alava kuch proven tips bhi denge jisse aap apne exams me ache marks score karke apne future ko behtar bana sakte hai.
Aap sabhi se bus yahi request hai ki sab kuch theek se janne ke liye poora article dhyaan se read karein taaki aapko koi bhi dikkt na aaye.
JAC 12th Admit Card
Dosto, jaisa ki humne bataya ki Board ki taraf se aa rahe latest update me Ranchi Board ne sabhi Class 11 and Class 12 ke admit card jari kar diye hai.
Sath hi Board ne Principals se request ki hai ki vo JAC 12th Admit Card ko academic council ke regional office se collect kar sakte hai.
Kuch time ke baad, ye admit cards aap ko school me hi pradan kiye jayenge. Iske baad school authorities ki ye jimmedari hogi ki vo sabhi regular, private, reappearing students ke admit card ko verify kare and distribute kare.
Aap sabhi ke liye ye recommendation hai ki JAC 12th Admit Card 2022 milne ke baad aap apne admit card me diye hue details jaise student details, JAC 12th Exam Centre Details 2022, Spellings, etc thik se verify jaroor kare.
Yadi aap ke admit card me koi bhi mistakes hai to aap ko as soon as possible use apne principal ko report karna hai.
Aisa karne se vo details correct karwai ja sakti hai, but agar ye details aap ne thik nahi karayi to same details aap ki Board marksheet par bhi print hongi and tab aap use change nahi kara paoge.
Details update karane ki process abhi se lekar March ke first week tak hi chalegi.
So agar aap ke admit card me ya apke details me koi mistake hai to samay rehte use update kara lijiye.
Aaiye ab hum aap ko batate hai ki Jharkhand Intermediate Admit Card 2022 Download karne ka procedure kya hai.
Jharkhand Intermediate Admit Card 2022 Download
Dosto, JAC 12th Admit Card 2022 ko download karne ka process kafi easy and straightforward hai.
Aap ki suvidha ke liye humne is pure procedure ko asaan steps me bataya hai.
To JAC 12th Admit Card 2022 ko download karne ke liye aap in steps ko one by one follow kar sakte hai.
- First step me aap ko Jharkhand Board ki official website – https://jac.jharkhand.gov.in/jac/ par visit karna hai.
- Iske baad aap sabhi ko homepage par hi latest announcements ke section me chale jana hai. Yaha aap ko hal hi me jari ki gayi notifications dikh jayengi.
- Yaha par aap ko Intermediate admit card for March 2022 ki notification ke link par click karna hai.
- Iske baad apko do options dikhenge, i.e. download student wise and roll number wise. Yaha par aap koi bhi option select kar sakte hai.
Iske baad apse kuch details puche jayenge, un details ko enter karke aap apne JAC Ranchi Board Intermediate Admit Card 2022 ko download kar sakte hai.
Dosto in aasan steps ko follow karke aap JAC 12th Admit Card 2022 ko easily download kar sakte hai.
Agar JAC 12th Admit Card 2022 ko download karne me koi bhi dikkat ya pareshani aa rahi hai to aap hamare Facebook, Twitter ya Telegram channel se jud kar, apni pareshani hum tak pahucha sakte hai.
Tips for scoring good marks in Board exams
Students, yaha par aap ki guidance ke kiye kuch tips provide kar rakhi hai, agar aap in tips ko follow karenge to apne exams me ache marks scire kar payenge.
- Jaldbazi me apne answers na likhe and nervous hue bina thande dimag se question paper ko solve kare. Nervous hone ke karan aap answers and formulas bhul sakte hai
- Jo questions aapko nahi aata us pr jyada time spend na kare ya unhe skip krke last me try kre.
- Confidence boost karne ke liye un chapters ke questions sbse phle solve kare jo aapki strength ho. Aise questions, jinme confusion ho, unhe last me solve kare.
- Answer sheet par jyada mistakes na kare and apni handwriting ka bhi dhyan rakhe. Jyada mistakes karne se checker par negative effect jata hai.
- Question paper solve karne ke baad answer sheet ko check kare taki koi galti ho to mil jaye. Iske baad un galtiyo ko shi kar lijiye.
Aaiye ab hum kuch frequently asked questions ko dekh lete hai jo aksar students ke mind me aate rehte hai.
Frequently asked questions
JAC 12th Admit Card konse details verify karne chahiye?
Students jaise hi aap ko JAC 12th Admit Card milta hai, aapko sabse pehle apne name, father’s name, mother’s name ki speeling check karni hai. Iske baad apne exam centre details, date of birth bhi check karne hai.
JAC 12th Admit Card 2022 me correction karane ka kya process hai?
JAC 12th Admit Card me yadi koi error hai to sabse pehle aap apne class teacher and school principal ko inform kariye. Uske baad vo aap ko aage ki process ke kiye guide karenge and help bhi karenge.
Jharkhand Intermediate Admit Card 2022 for Regular & Private download karne ke liye official website konsi hai?
Jharkhand academic council ki official website hai – https://jac.jharkhand.gov.in/jac/. Yaha se aap latest jankari and PDFs prapt kar sakte hai.
Final words
Students hum ummid karte hai ki aap ko JAC 12th Admit Card se related sabhi important jankari mil gayi hogi.
Agar phir bhi koi query hai to aap hamare social media platforms ke through hume bata sakte hai.
Note – Similar latest updates, notifications, previous year question papers, model papers, practice sets prapt karne ke liye aap hamare blog, hindimestudy.in ko bookmark kar sakte hai.