How to apply for IAF Agniveer Recruitment 2022 – Complete Guide

IAF Agniveer Recruitment 2022: Dosto, hum aasha karte hai ki aap sabhi ko Agniveer Recruitment scheme ke bare me pata hoga.

Is scheme ke antargat Indian Army, Indian Airforce and Indian Navy me candidates ko recruit kiya jayega. 

Iske virodh ke chalte government me age criteria ko improve kiya hai and ab sabhi male and female candidates, jinki age 17.5 se 23 saal hai, vo is scheme ke through army me job paa sakte hai.

Air Force Agneepath Scheme 2022 ke tehat, Indian Air Force ne ek notification announce ki hai, jisme candidates ko recruit kiya jana hai.

Aaj ke article me hum aap sabhi ko IAF Agniveer Recruitment 2022 ke baare me batane vale hai.

Iske sath hi bhut sari jaruri jankari jaise ki overview, how to apply, age limit, selection process, Educational qualification, syllabus, physical fitness standards and salary ke bare me bhi batane vale hai.

Sabhi jankari prapt karne ke liye bs aap ko is detailed article ko end tak read karna hai.

IAF Agniveer Recruitment 2022

21st June 2022 ko official website par ek notification release ki gayi thi jiske anusaar, Indian Air force me karib 3500 vacancies ke liye exam karaya jayga.

24th June 2022 ke baad online applying link activate ho jayega and candidates is job ke liye apply kar sakte hai.

Online form filling ki last date 5th July 2022 rakhi gayi hai, yani sabhi eligible students ko is date se pehle apply kar dena hai. 

4 saal ki service duration ke liye online mode se ye exam conduct karaya jayga.

Exam me paas hone vale students ko 6 months ki training di jayegi.

Exam vgrh ka process 4-6 months me complete kara diya jayga and most probably, shortlisted candidates ki joining December end tak kara di jaygi.

Age limit ki baat kare to is scheme ke antargat 17.5 se 23 saal tak ke candidates apply kar sakte hai.

Notification ke anusaar aise students jinka janm 29 October 1999 and 29 June 2005 (both days inclusive) ke bich me hua hai, vo is application ko fill kar sakte hai.

Also read – How to Check ONGC Apprentice Result Online 2022?

IAF Agniveer Recruitment – Selection Process and Eligibility criteria

Aaiye ab hum Selection Process and Eligibility criteria ke bare me jaan lete hai. Selection process ki baat kare to candidates ko 6 tests se hokar guzarna hai. 

In 6 tests me Written examination, CASB (Central Airmen Selection Board) test, Physical Efficiency Test (PET) and Physical Measurement Test (PMT), Adaptability Test-I and Test-II, Document and certificate verification and Medical examination shamil hai.

Jo candidate is sabhi tests ko clear kar dega, vhi job ke liye shortlisted hoga.

Aaiye ab hum apply karne and written examination ke liye eligibility criteria ke baare me jaan lete hai.

Air Force Agniveer Recruitment me total 3500 posts hai and iske liye educational criteria, 10th/ 12th/ Diploma/ 2 Years Vocational Course rakha gaya hai.

IAF Agniveer Recruitment – Syllabus and Marking Scheme

Science subjects ki baat kare to students ko exam me 60 minutes ka time diya jayega.

Is test me English, Physics, and Mathematics (As per the 10+2 CBSE) syllabus ke basis par questions puche jayenge.

Other than science subjects ki baat kare to students ko total 45 minutes ka time diya jayega.

Is test me English (As per the 10+2 CBSE syllabus) and Reasoning & General Awareness ke questions puche jayenge.

Marking scheme ki baat ki jaye to ek correct answer ke liye students ko one mark milega.

Jis question ka answer students nahi karenge, uska koi bhi mark deduct nahi hoga.

Exam me negative marking bhi hogi and ek galat answer ke against 0.25 mark deduct kiye jayenge.

Physical Fitness Standards 

Indian Airforce Agniveer Recruitment 2022 ke liye candidate ki minimum height 152.5 cm honi chahiye and chest me minimum 5 cm ka expansion hona chahiye.

Physical Fitness test me 1.6 Km ka running test hoga jisme candidates ko 6 minutes and 30 seconds ka time diya jayega.

Iske sath hi candidates ko 10 Push-ups, 10 Sit-ups, and 20 Squats given time me complete karne honge.

Salary Details

  • 1st Year – Rs. 30,000 Per Month
  • 2nd Year – Rs. 33,000 Per Month
  • 3rd Year – Rs. 36,500 Per Month
  • 4th Year – Rs. 40,000 Per Month
  • After Service – Rs 11.71 Lakh (As Seva Nidhi Package)

How to apply for IAF Agniveer Recruitment 2022?

Students, is job ke liye apply karne ke liye aap ko niche diye gaye instructions ko follow karna hai.

Aa sabhi ke liye ek salah hai ki is  recruitment me apply karne ke liye eligibility criteria ko check kar lena hai and then aap ko is form ko fill karna hai.

  • First step me aap ko Agniveer Recruitment 2022 ki official website par visit karna hai. URL – http://agneepathvayu.cdac.in/
  • Next step me aap ko homepage par latest news ke section me jana hai. Yaha aap ko notification and apply karne ka link display ho jayega.
  • Apply par click karke aap ko given form ko dhyan se fill karna hai. Iske sath hi important documents ko prescribed format and size me upload kar dena hai.
  • Next step me aap ko fees (Rs. 250) pay karni hai. Fees ko aap given payment gateways ke through pay kar sakte hai.
  • Fee submit hone ke baad aap ko final submission kar dena hai and apni application ko print kar lena hai.

Guys, ap sabhi ko application ka print out sambhal kar rakhna hai. To students, is tarah se aap IAF Agniveer Recruitment ke liye apply kar skate hai.

Recommendation – Friends, agar aap ko IAF Agniveer Recruitment ko apply karne me kisi bhi tarah ki pareshani face kar rahe hai to aap apni us pareshani ko Telegram channel, Twitter handle and Facebook page ke jariye humare sath share kar sakte hai. Hum jaldi hi aap ki help karne ki koshish karenge.

Summing Up

Hum aasha karte hai ki aap sabhi ko IAF Agniveer Recruitment se related sabhi important information jaise ki How to apply, Age limit, Selection process, Educational qualification, Syllabus, Physical fitness standards and Salary ke baare me pata chal gaya hoga.

Aap sabhi ke liye yahi salah hai ki apply karne ke baad aap ache se exam preparation me lag jaiye. Aaj ke is competitive era me exam crack karna bhit hard ho gaya hai.

IAF Agniveer Recruitment 2022 ki taraf se aane vale sabhi updates ko sabse pehle pane ke liye aap hamare is page ko bookmark kar skate hai. Sath hi similar job updates ke kiye hamari website hindimestudy ko regularly visit karte rahiye.

Leave a Comment