Gujarat Exam Update – GSSSB Binsachivalay Clerk Exam Cancel

GSSSB Binsachivalay Clerk Exam Cancel: Aaj ke is article me hum un students ke liye ek latest update lekar aaye hai jo Gujarat Binsachivalay clerk exam ki preparation kar rahe hai. 

GSSB ki taraf se aa rahe is update ke bare me complete information ke liye aap is article koend tak ache read kariyega.

Hum aasha karte hai ki iske regarding aap ke sabhi sawalo ke jawab aap ko mil jayenge.

GSSSB Binsachivalay Clerk Exam cancel

Dosto, is update ke tehet Gujarat me February 13 ko hone vale GSSSB Binsachivalay clerk exam and office assistant exam ko ek baar fir cancel kar diya gaya hai. 

3901 vacancies ko fill karne ke liye is exam ko conduct karaya jana tha and karib 10 lakh se jyada candidates is exam me participate karne vale the.

Next update me hi new exam dates announce ki jayengi jisko bht jald announce kar diya ja sakta hai.

Students aap ko shayad pata hoga ki GSSSB Binsachivalay clerk exam and office assistant exam ko ab tisri baar postpone kiya gaya hai.

Iska karan aayog ke Chairman Asif vora ka istifa bataya ja raha hai.

Students kafi time se unke istife ki mag kar rahe the and Government ne 7 February ko Chairman Asit Vora ka resignation liya tha.

First time is exam ko 2019 me cancel kiya gaya tha kuki is exam ka paper leak ho gaya tha. Iske baad eligibility criteria me change karne ke karan is exam ko cancel kiya gaya tha.  

Isi karan chatron ne Chairman Asit Vora ke resignation ke liye abhiyan shuru kiya tha.

Unke resignation ke baad students ko ummid hai ki jald hi exam ek proper way me conduct karaye jayenge.

Conclusion

New dates ki announcement bahut jaldi kiye jane ki ummid lagai ja rahi hai.

Further updates ke liye aap GSSSB ki official website ko regularly visit karte rahiye.

Students aap sabhi ke liye yahi recommendation hai ki aap apni preparation jari rakhe taki jaise hi new dates announce ho to aap exam me acha perform kar paye.

Agar aap is exam se related sabhi updates sabse pehle pana chahte hai to aap Hindimestudy.in ko subscribe kar sakte hai ya is page ko bookmark bhi kar sakte hai. Jaise hi new exam dates announce ki jayengi, is article me unhe update kar diya jayega.

Leave a Comment