How to get Online UP B.ED JEE Syllabus 2022?

Saari jaankaari jo aapko UP B.ED JEE syllabus ke baare mei chahiye, wo aapko iss article mei mil jayegi.

UP B.Ed JEE Syllabus ki syllabus decide ho chuki hai aur iss baar UP B.Ed JEE Exam Pattern 2022 bhi alag hai.

Agar aap ek candidate hai is exam ke aur aap ko is exam ke baare mei saari cheezein pata karni hai toh ye article padhte rahe.

Exam ki preparation ke liye pehle UP B.ed JEE Syllabus 2022 bohot zaroori hai kyun ki zyada ya kam padhne se kuch faida nahi hoga.

Sirf utne hi topics padho jitna UP B.ed JEE Syllabus 2022 mei diya gaya hai, acche marks laane ke liye. 

UP B.Ed JEE Exam Pattern 2022

Exam iss saal ek alag pattern mei li jayegi. Do shifts ke exams honge; ek subah aur ek shaam ko.

Paper-1 aur Paper-2 mei 200 questions each honge aur ek paper ko solve karne ke liye milega 3 ghante.

Kul mila ke 6 ghante ki pariksha hohi ye aur aap sabhi ko acche se taiyari karke jaana hai.

UP B.ed JEE Syllabus 2022 hindi aur English ke liye almost same hai kyun ki aap ko ye choice milti hai ki kis language ka aap exam dena chahte hai aur options hai English aur Hindi.

Baaki saara syllabus same hi hai. 

Also read – How to Download KPSC 10th Prelims Result 2022

UP B.Ed JEE Exam Syllabus 2022 

Pehle paper mei 2 sections hai. General Knowledge aur Language.

General knowledge ke section mei 50 questions diye jaayenge jo ki 100 marks ke honge.

Wahin, Language ke pariksha mein aap ko pehle toh chun lena hai ki kaun se language mei aap behtar hai ya jis mei aap bachpan se padhe hai, wo yadi aapko choose kar lena hai. 

Second paper mei jo evening mei li jayegi, usmei 2 sections aate hai fir se; general aptitude test aur Science/commerce/Agriculture/Arts.

Pichle baar ki hi tarah, iss baar bhi second section mei aap ko ek choice karni hogi jahan pe apne specialisation ke anusaar, aap choose kar le ki aap Science ka exam dena chahenge ya commerce ka ya arts ka ya agriculture ka.

Jab choice apne kar li hai, toh aap ke admit card mei wohi dikhegi aur exam guard aap ko wahi paper denge.

Saare sections mei 50 marks each allot kiya gaya hai aur total marks poore pariksha ki, milaake 200 hai.

UP B.Ed JEE Exam Syllabus 2022 mei keval yehi sab subjects hai aur exam pattern bhi bilkul aise hi designed hai ki aap koi bhi field se hai, wo determine nahi karti ki aapko zyada ya kam marks milenge kisi aur se.

Iss chiz ki confirmation is baat se aati hai ki language aur specialisation subjects mei koi limitation nahi hai.

Koi English aur science leke marks laa sakte hai toh koi Hindi aur agriculture aur baaki saare combinations jo beech mei aate hai.

Overall, exam pattern kaafi acche se banayi gayi hai.

UP B.ED JEE Syllabus aapki abilities check karte hai tarah tarah ke situations ke hisaab se.

Memory aur smartness dono hi test hoti hai jab aap UP B.ed Entrance Syllabus 2022 padhte hai tab se.

Jab aapne UP B.ed Entrance Syllabus 2022 ke hisaab se saari padhai kar li ho toh aap iss exam ke liye capable ban jaate hai.

UP B.ED JEE Syllabus har baar thodi alag hoti hai iss baar se aur wo isliye kyun ki exam pattern alag hai.

Uss fact ko chhor ke, jis level ki preparation pichle saalon mei karna padta tha bilkul waise hi iss saal bhi karni padengi. 

More About UP B.ED JEE Syllabus And The Exam

UP B.ED JEE Syllabus 2022 already discuss ho chuki hai.

Agar aap ek UP ke resident nahi ho aur aap ke paas domicile certificates nahi hai UP ke, toh aap ye exam ke liye appear nahi kar sakte hai.

Ye aap keh sakte hai, ek minimum requirement hai iss exam ko dene ke liye especially because inke seats kaafi bhare huye hote hai.

21% seats SC candidates ke liye hai government ke rule ke hisaab se, 2% ST candidates ke liye hotey hai aur 27% OBC candidates ke liye.

Baaki bache seats general students ke liye hai. Abhi aap ke man mei sawaal aa raha hoga ki agar koi bhi 2 students ko same marks milein toh kya hoga counselling ke samay pe.

Toh uss samaye pe, mostly jiske qualifying exams mei bhi marks zyada hai unko choose kiya jaata hai.

Leave a Comment