MP Free Laptop Yojana 2023 – Complete Details

MP Free Laptop Yojana: Agar aap Madhya Pradesh state ke  students hai or aapne apni Class 12 MP Board se pass ki hai, to ham aap sabhi ke liye ek jaruri jankari laaye hai. 

Aap sabhi ke liye CM Shivraj Singh Chauhan ne ek announcement ki hai, ki exam mein ache marks se passout hone vale students ko MP government ki taraf se MP Free Laptop Yojana ke tahat laptop buy karne ke liye 25000 Rs diye jayenge.

Iss Yojana ko Chhatra protsahan Yojana ke naam se jana jata hai.

Iss article ke jariye hum aap sabhi ko ye batayenge ki iss yojna ka labh uthane ke liye registeration process, eligibility, required documents kon se hai. 

Agar aap sabhi MP Free Laptop Yojana ke baare mein complete information chahte hai to Doston yakin maniye ki ye article aap sabhi ke liye kaafi important hai, isliye aap sabhi iss article ko last tak jarur pdhe. 

Purpose of MP Free laptop yojna 

Aajkal corona mahamari ke karan sabhi karyon ko online kar diya gaya hai.

Jiske liye Laptop ki jarurat padti hai, isliye jin chhatron ke pass online study karne ki facility nahi hai, unhi chhatro ke protsahan ke liye Yojana ka shubharambh kiya gaya hai.

Iske liye sabhi chhatron ko arthik roop se madad ki jaati hai.

Iss yojna ke antargat  MP Board mein acche marks se pass hue sabhi chhatron ko laptop buy karne ke liye 25000 Rs deke unki arthik madad karni hai.

Yah Rashi chhatron ke bank account mein direct government dwara di jaygi.

Eligibility for MP Free Laptop Yojana

Doston, MP Free Laptop Yojana form ke liye kuch eligibility criteria rakha gaya hai.

Yojana ke liye apply karne se pehle aapko eligibility ke baare mein janna jaruri hai. 

Aaiye ab hum aapke sath vo jaruri baate discuss karenge jisse aapko pata chal jayega ki, kya aap iss yojna ke liye eligible hai ya nahi.

  1. Aap sabhi MP state ke sthayi nagrik hone chahiye.  
  1. Aap MP Board ke students hone chahiye because ye yojna MP board ke students ke liye hai. 
  1. Aapke family ki yearly income 6 lakh ya usse kam honi chahiye, tabhi aap iss Yojana ke liye apply kar sakte hai. 
  1. SC/ST students MP board mein minimum 75% marks aane chahiye. 
  1. OBC and General MP Board students jinke 12th class mein minimum 85% marks aaye hai, vo hee iss yojna ke liye eligible hai. 

Agar aap iss yojna ke eligible hai to registration kar sakte hai.

Registration karne ke liye kuch documents ki avashyakta hogi.

Aaiye ab hum jante hai ki aapko MP Free Laptop Yojana ke liye kon se documents ki need hogi. 

Also read – UP Free Laptop Yojana 2023

Documents Required for MP Free Laptop Yojana 2023

Doston jaisa ki humne aapko bataya hai ki kon se aise students hai jo iss Yojana ke liye eligible hai.

Eligible hone ke sath aapko kuch documents ki jarurat hogi. 

Jinhe aapko registration karte samay website pe upload karna pad sakta hai.

  • Aadhar card
  • Address Proof 
  • Caste certificate
  • Marksheet of 12th class
  • Income certificate
  • Bank details ( jaise IFSC code, Account number) 
  • Passport size photo

Agar inme se koi bhi document aapke paas nahi hai to as soon as possible arrange kar le. 

MP Free Laptop Yojana ke liye apply kaise kare?

Students agar aap is yojana ke liye eligible hai aur aapke pass required documents hai, to aap niche diye steps ko follow karke apna registration process complete kar sakte hai. 

  1. Sabse pehle aap sabhi ko MP education portal ki official website www.educationportal.mp.gov.in pr jana hai.
  2. Iske baad aapki screen pr website ka home page open hoga. Home page pr aapko education portal option pr click karna hai.
  3. Ab aapko apni screen pr new page dekhega, iss page pr aapko laptop ke option pr click karna hai.
  4. Ab aapko apni screen pr kafi sare option dikhege aur unme se aapko apni patrata jane pr click karna hai. 
  5. Nextly, new page open hua hoga, isme aapko apna 12th class ka roll number fill karna hoga. 
  6. Roll number fill karne ke baad aapko usi page pr ‘get details of meritorious student’ pr click karna hai. 
  7. Phir aap sabhi ko apni information, documents website pr upload karne hai. 
  8. Last mein submit ka button press karna na bhule. 

To in aasan se steps ko follow karte hue aap apna registration easily kar sakte hai. Aapke documents verification hone ke baad hee beneficiary students ko government ki taraf se laptop buy karne ke liye 25000 Rs diye jaege.

MP Free Laptop Yojana Beneficiary list 2023

Aap sabhi list mein apna name check karne ke liye ye steps follow kar sakte hai. 

  • Iske baad aap sabhi ko laptop distribution ke option pr click karna hoga. 
  • So ab aapki screen pr new page open hoga, uske baad sabhi ko application status option pr click karna hoga. 
  • Next step me aap sabhi ko Class 12th Roll number fill karna hai and ab aapko get details of meritorious students karna hai. 
  • Itna karne ke baad aapki screen pe roll number wise beneficiary students ki list dekhegi. Aap usme apna roll number check kar sakte hai. 

Students shiksha portal ne apna contact number provide kiya hai. Agar aapki MP Free Laptop Yojana ke baare mein koi query ho to aap iss number pe call kar sakte hai. 

  • Helpline number:  0755-2600115
  • E-mail ID: shikshaportal@mp.gov.in

Conclusion 

Aap sabhi eligible students ke liye ye ek bhut acha moka hai, jisse aapko laptop buy karne ke liye paise diye jaege. Ise aapko miss nahi karna hai and is yojana ke liye registration jaroor karna hai.

Iski madad se aap sabhi apni aage ki studies bina kisi rukawat ke jari rakh sakte hai. Isi tarah ki latest jankari prapt karne ke liye aap humse hamari website hindimestudy.in ke dwara jude rahe.

Agar aap sabhi Ko iss article mein di hui information pasand aaye hain to ise apne friends ke sath share karna na bhule. Aur agar abhi bhi aapke mind mein MP Free Laptop Yojana ke bare mein koi question ya doubt hai to aap humse comment section mein puch sakte hai. 

Leave a Comment