How to Download Gujarat STD-12 Blueprint 2023 PDF

Gujarat STD-12 Blueprint: Dosto jaisa ki him dekh pa rahe hai ki almost sabhi boards ne apna exam calendar out kar diya hai and bhut jald aap sabhi ke board exams conduct karaye jayenge.

Isi baat ko dhyan me rakhte hue aaj hum aap sabhi ki sahayta ke liye ye naya article lekar aaye hain.

Gujrat board ke students ko aaj hum Gujarat STD-12 Blueprint, iski importance, isko kaise use karna hai and GSEB HSC Blueprint download karne ke procedure ke bare me batane vale hai.

To agar aap bhi GSEB HSC Exam Pattern ki madad se apni preparation achi karna chahte hai ya apne board exam me ache marks score karna chahte hai to is article ko end tak properly read kijiyega.

Gujarat STD-12 Blueprint

Students, is baat se to aap vakif honge ki Class 12 ke result par aapki further studies and admission depend karte hai.

Isi wajah se aap sabhi ke teachers khub mehnat karne ki salah dete hai taki aap jyada se jyada marks score kar paye.

Achi preparation karne ke liye aap ko ek well designed strategy ko follow karna chahiye. Iske sath Gujarat STD-12 Blueprint ki madad se aap bahut help le sakte hai.

Gujarat STD-12 Blueprint basically, question papers ka design batata hai.

Isse aap ko important topics, chapters and sections ka pata chalta hai.

Additionally, blue print me chapter wise weightage bhi batayi jati hai.

Iska sabse bada benefit yahi hota hai ki jo chapters jyada marks weightage rakhte hai aap unhe sabse pehle prepare kar sakte hai and apne precious time ko save kar sakte hai.

Ek latest update ke according, Department of Education and Secondary and Higher Secondary Education, Gandhi Nagar Board ne sabhi streams ke liye Gujarat HSC Exam Pattern ko announce kar diya hai.

GSEB STD-11 & STD-12 Blueprint 2023 ko latest syllabus ke according har saal subject experts ke dwara prepare kiya jata hai. 

Gujarat HSC Question Paper Design 2023

Dosto, agar Gujarat STD-12 Blueprint ki baat kare to ise is tarah se design kiya gaya hai ki agar ek standard student kuch time ke liye ache se preparation kare and jyada weightage vale chapters ko padh le, to vo acha score kar sakta hai.

Section Number of Questions Marks per Question Total marks
A – MCQ 15 1 15
B – Very short answers questions 15 1 15
C- Short answers questions 10 2 20
D- Long answers questions 10 3 30
E- Very long answers questions 2 5 20
Total Marks 100
  • HSC exams SA-1, SA-2, LA, EA format me conduct karaye jayenge jisme theory, objective type Multiple Choice Questions (MCQ), descriptive questions honge.
  • Exam total hundred marks ka hoga and ise solve karne ke liye aap ko total 3 hours ka time provide kiya jayega.
  • Iske sath exam me 30% marks aap ke practical assessment ke honge. Iske liye external teacher aapka viva bhi le sakta hai.
  • Question paper ko five different sections i.e Part-A, Part-B, Part-C, Part-D and Part-E me divide kiya gaya hai.

Also read – GSEB STD 12th Paper First Exam Solution Oct 2023

How to download Gujarat STD-12 Blueprint?

Students, vaise to humne sabhi subject ke blueprint ko download karne ke links niche diye hai.

But aap sabhi ko is Gujarat board ki official website se bhi download karna aana chahiye.

To niche diye gaye steps ko follow karke aap easily Gujarat STD-12 Blueprint ko PDF format me download kar sakte hai.

  • First step me aapko Gujarat Board ki official website https://gseb.org or https://www.gsebeservice.com par visit karana hai.
  • Iske baad aapko Board website ke option par click karke student section me chale jana hai. 
  • Yaha par aapko Question Paper Designs ke option ko choose kar lena hai. Aise karne ke baad subject wise GSEB HSC Blueprint 2023 PDF ke links aap ko fikh jayenge.
  • In links par click karke aap blueprint ko PDF format me download kar sakte hai.

Note – Agar aapko NCERT Book PDF 2023 download karne me koi bhi pareshani ya difficulty aa rahi hai, to aap humse humare Telegram channel, Facebook page, Twitter handle ke madhyam se puch sakte hai. Hum aapki madad karne ki puri koshish karenge

GSEB 12th Blueprint 2023 for New Question Paper Format

Students, kayi bar board ki website jyada users and file hone ke karan down ho jati hai, and students blueprint, model papers, and notifications ko download nahi kar pate hai.

Isliye aap ki suvidha ke liye humne yaha par blueprints ke direct downloading links mention kiye hai.

  • Gujarati 1st Language Blueprint 2023 – Download
  • Gujarati 2nd Language Blueprint 2023 – Download
  • Hindi Pradham Bhasa Blueprint 2023 – Download
  • Hindi 2nd Language Blueprint 2023 – Download
  • English General Scheme Blueprint 2023 – Download
  • English 2nd Language Blueprint 2023 – Download
  • Arthsastra Blueprint 2023 – Download
  • Vanija Vyvstha Sanchalan Blueprint 2023 – Download
  • Namana Multatvo Blueprint 2023 – Download
  • Manovigyan Blueprint 2023 – Download
  • Ithihas Blueprint 2023 – Download
  • Bhugol Blueprint 2023 – Download
  • Sanskrit Blueprint 2023 – Download
  • Tatvgyan Blueprint 2023 – Download
  • Samajshatra Blueprint 2023 – Download
  • Rajyashastra Blueprint 2023 – Download
  • Akda Shstra Blueprint 2023 –Download
  • Secterial Prectice & Vanijya Blueprint 2023 – Download
  • Computer Adhyayan ( Vigyan Pravah) Blueprint 2023 – Download
  • Mathematics Gujarati Blueprint 2023 – Download
  • Rasayan Vigyan Gujarati Blueprint 2023 – Download
  • Bhautik Vigyan-Vigyan pravah Blueprint 2023 – Download
  • Jiv Vigyan Blueprint 2023 – Download
  • Gujarati – 1st (001) Vigyan Pravah Blueprint 2023 – Download
  • Gujarati – 2nd (008) Vigyan Pravah Blueprint 2023 – Download
  • Hindi (1st Language) Blueprint 2023 – Download
  • Hindi (2nd Language) Blueprint 2023 – Download
  • English 1st Language Blueprint 2023 – Download
  • English 2nd Language Blueprint 2023 – Download
  • Sanskrit Blueprint 2023 – Download
  • Computer Adhyayan ( Vigyan Pravah) – Download

Final words

Friends, is tarah se aap Gujarat STD-12 Blueprint ko PDF format me download kar sakte hai. Iske alava humne aap ko bataya hai ki aap kis tarah se ise apni exam preparation me istemal kar sakte hai. 

Iski importance samajh aane ke baad aap sabhi se yahi request hai ki given procedure ko follow karke ya given links ka use karke aap abhi Gujarat STD-12 Blueprint ko download kar lijiye.

Dosto, agar aap chahte hai ki isi tarah ke informative articles, latest notifications, Model Papers, Sample papers, Question banks, etc aap ko milte rahe to aap hamare blog hindimestudy.in ko subscribe kar sakte hai and is page ko bookmark bhi kar sakte hai.

Yadi is article se aap ko value and help mili hai to aap is article ko apne friends ke sath share kar sakte hai taki unhe bhi blueprint ki importance and use ke bare me pata chal sake.

Leave a Comment