Chat GPT kya hai | Chat GPT ko kaise use kare – Full Guide 2023

Chat GPT: Is baat me koi shak nahi hai ki aaj ke time me puri duniya internet par tiki hui hai. 

Internet ke aa jane se sari duniya simat kar ek connection me bandh gayi hai. 

Jaisa ki hum sabhi kafi time se din pratidin internet ki duniya me hone vale changes ko dekh rahe hai. 

Regular intervals par users ki suvidha and unka kam asaan karne ke liye ya unki life better karne ke liye changes hote rhte hai. 

Recently, students, coders, bloggers, explorers, and almost har insan ke liye ek bahut hi shandar platform develop kiya gaya hai. 

Is platform ka naam hai Chat GPT and aisa mana ja raha hai ki aane vale time me ye platform students and other internet users ki life and kam ko aasan bana sakta hai. 

To dosto kayi baar aap ko internet par apne questions ke answers nahi mil pate, kayi baar aap maths ke questions me atak jate honge ya jb aap ko essay/letter/paragraph/article writing ka homework milta hoga to aap confuse ho jate honge ki kya likha jaye. 

Aaj ke is naye article me hindimestudy ki team aap ko ek naye and trending platform se introduce karayegi jiski madad se aap ki bahut sari problems solve ho jayengi. 

Iske liye aap sabhi ko is article ko ache se read karna hai and bataye gaye procedure ko follow karke hi is platform ko use karna hai.

Chat GPT Kya hai?

Dosto jaisa ki humne bataya hai ki ye ek naya platform hai jise students and other internet users ki sahayata ke liye banaya gaya hai. 

Chat GPT ek aisa online open AI based chatbot platform hai jaha par aap apni padhai se related koi bhi question ka answer ya solution prapt kar sakte hai. 

Chat GPT ko recently, 30 November 2022 ko hi launch kiya gaya hai. 

Dusre words me kahe to ye ek tarah ka search engine hai jo Google se bhi jyada detailed information dene me saksham hai. 

Na sirf normal questions, balki aap yaha se critical mathematical questions, coding based problems, and advanced level questions ke answers and solutions bhi prapt kar sakte hai.

Agar iski capabilities ki bat kare to aisa mana ja rha hai ki ye aane vale time me Google search ko takkar de sakta hai. 

Iska andaja is baat se lagaya ja skata hai ki jaha Google, Instagram, Facebook, Dropbox, Pinterest, Twitter, YouTube, LinkedIn, Netflix ko one million users prapt karne me more than a year ka time lag gaya tha, vhi Chat GPT ne sirf five days me hi one million users achieve kar liye hai. 

Chat GPT ek free research platform hai jaha explorers, students and other users apne questions ka answer well described form me prapt kar sakte hai. 

Agar aap ke man me swal aa raha hai ki aap kin subjects ya fields ke questions yaha puch sakte hai to hum aapko batana chahte hai ki Maths, General knowledge, Event based questions, programing languages, coding problems, web development, Essay writing, etc ke questions ka jwab pa sakte hai.

Chat GPT for Students

Students, hum aap ko is platform ke bare me isliye bata rahe hai kuki aksar aap ko essay writing ya research based assignments and homework milta hoga. Is platform se aap ideas and content grab kar sakte hai. 

Iske alava agar aap ko maths ya science ke kisi numerical me problem aati hai to aa Chat GPT ki madad se use solve karna sikh sakte hai. 

Even aap Excel formulas, Commands and similar problems ke solutions bhi le sakte hai.

Asha karte hai ki aap ko Chat GPT ke bare me pata chal gaya hoga and is baat ka bhi idea ho gaya hoga ki students ke liye ye kaise revolutionary ho sakta hai.

Also read – How to Download Class 10 MP Board Question Bank

Chat GPT ko kaise use kare?

Dosto, is free platform ko istemal karne ka process bahut hi aasan hai and aap ek simple se procedure ko follow karke ise easily use kar sakte hai. 

  • First step me aap ko google par Chat GPT search karna hai.
  • Iske baad aapko first result par click karke, iski official website par aa jana hai.
  • Homepage par aap ko Try Chat GPT ka option milega and is par click kar dena hai.
  • Click karne ke baad aap ko thoda wait karna hai and uske baad aap ko isme sign up karna hoga. 
  • Sign up par click karne ke baad aap ko email ki madad se ek account create kar lena hai, ya aap Google or Microsoft account se bhi sign up kar sakte hai.
  • Next step, me aap ko apna first and last name enter karna hai and phone number verify kara lena hai. 
  • Iske baad aap ka account create ho jayega and aap ise use kar payenge.
  • Use karne ke liye aap ko sabse pehle left side me ‘New Chat’ par click karna hai and iske baad ek new screen display hogi.
  • Yaha niche ke side aap ko ek question box milega, yaha aap apne questions ko likh kar send par click kar dena hai. 
  • Within seconds, aap ko apne questions ka solution screen par mil jayega. 

Is tarah se aap is platform ko use kar sakte hai and free me apni problems ka solution paa sakte hai.

Agar Chat GPT ko use karte samay aapko koi bhi pareshani ho rahi hai ya kisi bhi prakar ka error aata hai to aap comment section me mention karke hame bata sakte hai. Ya aap hamare Telegram channel, Facebook page ya Twitter handle ki madad se hum tak apni pareshani ko pahucha sakte hai.

Final words

Dosto, hum aasha karte hai ki aap ko Chat GPT ke nare me complete information mil gayi hogi and aapko iske benefits ke bare me pata chal gaya hoga.

Agr hum is platform ke ek demerit ki baat kare to vo hai iski accuracy.

Vaise to yaha bataya gayi information and data bhut hi accurate hai.

Lekin kuki abhi ye recently launch hua hai to is platform me bhut sudhar hona baki hai. Isliye ho skata hai ki aap ko thodi si problem face karni pde.

Agar aap ko is article se help mili hai to hum aap se yahi request karte hai ki ise jyada se jyada share kare taki aapke friends ko bhi is platform ke bare me pata chale.

Leave a Comment